Episodes
-
Hindustaan ki garmi ke bhi utne hi variations hain jitne yahan ki culture mein. Kahin sookhi wali toh kahin humid wali aur isiliye har ilaake ne apni apni garmi ko balance karne ke liye apni apni garmiyon wali drinks bana li. Suniye Red Podcast ke Food Trails with Hem ke iss episode mein Summer Drinks of India ki kahani mere yaani @hemuhain ke saath.
See omnystudio.com/listener for privacy information.
-
Thali mein sabse pehle utarne wali aur sabse aakhir tak saath dene wali cheez agar achaar nahin toh thali bekaar. Jammu se Kanyakumari tak, Gujraat se Asaam tak, Hindustaan ka shayad hi koi aisa hissa hai jahan log achaar na khaate hon lekin sadiyon se bharat mein bante aa rahe iss aaj ke daur ke appetizer ka itihaas aur bhugol kya hai woh jaaneinge Food Trails with Hem ke iss episode mein.
See omnystudio.com/listener for privacy information.
-
Missing episodes?
-
agar aapko lagta hai ki dunia garmiyon mein ice crème khati hai toh aap puri tarah sahi nahin, kyunki sardiyon mein bhi ice crème ki bikri bahut zyada hoti hai. Lekin abhi ke liye garmiyon mein center of attraction ice crème ki baat Red Podcast ke Food Trails with Hem mein. Jahan hum baat kareing china se chali iss dish ke Hindustaan se jude sambandh ke baare mein. Kaise janm hua Ice Crème ka, suniye mere yaani Hem ke saath @hemuhainaa #icecrème
See omnystudio.com/listener for privacy information.
-
Jab do log zyada saath mein dikhne lagein toh iss gehri dosti ko aap CHOLA BHATURA bhi keh sakte hain. Bhature ke baare mein pehle ke episode mein aapne suna tha, iss baar Chole ki kahani. Suniye Food Trails with Hem ke latest episode mein chole ki poori kahani.
See omnystudio.com/listener for privacy information.
-
Tarkari originated in the northern part of India however our neighbouring country Nepal had declared Daal Bhaar Tarkari as their national food.
Tarkaari is very much UP Bihar and West Bengali dish but is popular in Madhya Pradesh Chattisgarh and Oddisa too.
Creative can feature either Nepal/West Bengal/Oddisa too for the matter else a generic one would do
See omnystudio.com/listener for privacy information.
-
Bura naa maano holi hai kehne wale ne apni baat puri nahin ki thi shayad. Mere hisaab se woh kehna chahta tha ki rang laga raha hun bura naa maano lekin holi milan ke liye agar ghar aaya aur tumne kuch acha nahin khilaya toh bura zaroor maan jaunga. Suniye mere yaani Hem ke saath Red Podcast ke Food Trails with Hem ki iss episode mein Holi ki Rasoi ki kahani. Kyunki bina acha khaaye ache se holi kaise manaeinge aap!!
See omnystudio.com/listener for privacy information.
-
Janm Rajasthaan mein hua lein angrezon se mulaqat Gujraat mein hui, mehaz 4 se 5 ingredients se banke taiyaar ho jaane wali iss dish ne hindustaan ki har ras wali dish ko curry ka naam dilwa diya. Kadhi se curry tak ki kahani Red Podcast ka Food trails with Hem ke iss episode mein.
See omnystudio.com/listener for privacy information.
-
Punjab jiss parathe ke liye itna famous hai, kya aapko pata hai ki woh janma asal mein south mein tha? Parota ke paratha banne ki kahani suniye Red Podcast ke Food Trails with Hem ke iss episode mein.
See omnystudio.com/listener for privacy information.
-
Humse ek formula liya, apne desh gaye, usse apne hisaab se use kiya phir laut kar aaye aur keh diya ki bhaiya ye humara invention hai. Kiss cheez ki baat ho rahi hai? Ji haan cheese ki hi baat ho rahi hai. Indian Cottage Cheese jaisa fansy naam de dene se ye europian ho gaya warna hai ye wahi apna pyaara paneer. Suniye paneer ki kahani Red podcast ke Food Trails with Hem ke iss episode mein.
See omnystudio.com/listener for privacy information.
-
Early man ke samay se protein ka mukya source, shayad kisi accident se discovered aur dunia bhar mein prime food item, hindustaan mein vegetarian menu ka main competitor GOSHT kaise aur kab thali ka hissa bann gaya, suniye Red podcast ke Food Trails with Hem ke iss episode mein.
See omnystudio.com/listener for privacy information.
-
iss side dish ke baare mein log jaante toh hain lekin kabhi mehsoos nahin karte ki bas ek iski kami se vetarian thali mein kitni badi kami aa jaayegi. Daal se hi har thali mein bahaar hai. Peeli daal, tadka daal, panchmel daal ya dal makhni, tarah tarah ki daal tarah ki kahani, Food Trails with Hem ke iss episode mein.
See omnystudio.com/listener for privacy information.
-
Mandir ho, ghar ho, hotel ho, mess ho ya koi delux thali, chawal har jagah dikhayi dega. Kabhi dosa bann ke, kabhi idli, kabhi khichdi, kabhi kheer, kabhi maathe par tilak mein kabhi vidai ki jhalak mein. Kya hai Chawal aur Hindustaan ka rishta, kya hai poori kahani. Suniye iss fresh Red Podcast ka Food Trails with Hem ke naye episode mein.
See omnystudio.com/listener for privacy information.
-
Jiss mithai ne bhagwaan ko maafi dilwayi, usne insaano ke dil mein kaise jagah banai. Kyun ladte rahe bengal aur oddisa itne din aur kaise Raj Bhog Roshogola ki ameer cousin kehlaai yeh saari kahani, chenne ke peeche ka itehaas lekar main aaya hun Food Trails with Hem ke iss episode.
See omnystudio.com/listener for privacy information.
-
Shaam ke char baje wali halki fulki bhookh ke liye ho ya baarish mein apne aap zubaan pe aa jaane wala naam, Pakode ka rishta hum hindustaaniyon se bahut purana hai. Aur Fod Trails ke iss episode mein toh aap sunn kar chaunk jaayeinge ki rishta purana hi nahin balki kaafi faila hua bhi hai. Kashmir se Kanyakumaari aur Dwarka se Manipur tak. Har region ka apna apna fav lekin dil mein basne wale Pakode ki Kahani mere yaani Hem ki zubaani.
See omnystudio.com/listener for privacy information.
-
Early man ko civilised pata hai kab kaha gaya, jab usne ghar basa liya aur daal roti ka bhaav usse samajh mein aaya. West mein Bread hindustaan mein roti, bible mein bhi jagah rakhti hai. Ishwar ka ashirwaad Bread ki kahani suniye Red Podcast ke Food Trails with hem ke iss episode mein.
See omnystudio.com/listener for privacy information.
-
From Popeye The Sailor Man to superman, agar aap ne saag nahin khaya th mummiyon ke mutabik aap takatwar nahin ban sakte. Actually ye sach bhi hai, Iron ki jitni matra saag mein mil jayegi kisi aur natural source mein kahan, bachpan mein naak muh sikodne se lekar sardiyon ki mauj wali sarson ke saag tak ki kahani Red Podcast ke Food Trails wuth Hem ke Iss episode mein.
See omnystudio.com/listener for privacy information.
-
Poore bharat mein alag alag naam se jaani jaati hai, iski gair maujoodgi kisi bhi thali ko suna kar de. Chapati kaho ya Roti full meal ka main ingredient hai roti, lekin phir bhi restaurants ke menu card mein aksar sabse neeche rehti hai. Kya hai roti ki kahani suniye Red Podcast ke Food Trails with Hem ke iss episode mein.
See omnystudio.com/listener for privacy information.
-
Bollywood ne har cheez pe gaana banaya. Chidya Nadiyaan jhumke, chanda, goonghat lekin epitome of writing was when akshay kumar danced on a song which had Samosa in it. Jab Tak Rahega Samose mein aloo guys. Hope you know the song. Samosa aur Aloo is so connected jaise chaand sitaare, Laila majnu, heer ranjha but Samose mein originally Aloo hota hi nahin tha. Shock laga. Details in this episode of Food Trails with Hem. Kahani Samose ki.
See omnystudio.com/listener for privacy information.
-
Angrez chale gaye aur peeche inhein chor gaye. Angrezi bhi, Suit Pant bhi, Railway bhi Railway Mutton Curry bhi. Chalti train mein discover hui ye dish hai toh originally Bengali lekin angrezon ne aisa kya kiya ki iska naam pad gaya Railway Mutton curry jo abhi kuch saal pehle tak train mein as a listed item milta bhi tha. History on the wheels ki kahani mere yaani Hem ki zubaani only on Food Trails with Hem ke iss episode mein. Naush farmaiye Railway Mutton Curry for you guys.
See omnystudio.com/listener for privacy information.
-
Bahut mixture hai bhai, thoda portugese, thoda Maharashtra, thoda UP, thoda ye thoda woh. Pao Bhaji jitni simple dekhne mein lagti hai na toh usko banana utna simple hai naa hi uski history. Industrial revolution ki dein, Mumbai ki pehchaan infact reason for some pride as well, Pao Bhaji jab Mumbai se nikal ke Maharastra aur wahan se nikal ke poore desh mein famous hone chali toh kisi ko andaaza bhi nahin tha infact aaj bhi nahin hai ki ye ek jugaad wala dish hai. Jugaad mein hindustaan number one hai aur Pao Bhaji jugaad ka FATHER of the Nation types, Jokes apart kya hai iski story history aur trivia along with some wada pao lets hear it in this episode of Food Trails with Hem.
See omnystudio.com/listener for privacy information.
- Show more