Episoder
-
Sanjeev aur Sneha apni wedding anniversary celebrate karne Mussoorie aye the jahan accidentally Sneha ki, gehri khayi mein girne se, maut ho gayi. Jab Sneha ki body ko recover kiya gaya toh Sanjeev yeh dekh kar shocked reh gaya ki woh chehra Sneha ka nahi tha! Body Sneha ki thi, magar chehra badal chuka tha! Aaj se pahle Sanjeev ne ye chehra kabhi nahi dekha tha, jab ki baaki logon ke liye wahi Sneha ka chehra tha. Kya thi yeh mystery? Sanjeev ko Sneha ke chehre mein kiska chehra dikhta tha? Aur kyun? Janne ke liye suniye ye mysterious kahani...
CREDITS
Bhoot Bhulaiya: A Horror Podcast
Produced By: Kommune India
Stories By: Jatin Bhasin
Voice Artist: Anuj Gurwara
Script Written By: Deepti Mittal
Audio Production: 3D Headroom
Episode Supervised By: Ikroop Chamba -
Akhil apne father ke sath Shimla gaya, apne achanak gayab hue tau ji, Col. Verma ko dhundhne. Unke farm house par Akhil ko ek purana bekar non-functional walkie talkie mila, magar phir bhi raat ko us par koi call karta tha. Baad mein pata chala Col. Verma bhi us walkie talkie par kisi se baat kiya karte the. Magar yeh kaise possible tha? Kya Col. Verma ke gayab hone mein us walkie talkie ka koi role tha? Aur kaun tha woh, jisse woh baat kiya karte the? Janne ke liye suniye, yeh hairatangez kahani...
CREDITS
Bhoot Bhulaiya: A Horror Podcast
Produced By: Kommune India
Stories By: Jatin Bhasin
Voice Artist: Anuj Gurwara
Script Written By: Deepti Mittal
Audio Production: 3D Headroom
Episode Supervised By: Ikroop Chamba -
Manglende episoder?
-
Suhana apne childhood friend Syed se shaadi kar unki purani khandani haveli mein rahane aa gayi, jise Syed ki ek interior designer friend Rubina ne renovate kiya tha. Suhana ka woh sapnon ka ghar, uske liye nightmare ban gaya, jab use har jagah Rubina ki presence feel hone lagi jabki Rubina wahan nahi thi !
Kyon hota tha aisa… Kya thi Rubina ki mystery?janne ke liye suniye yah kahani...
CREDITS
Bhoot Bhulaiya: A Horror Podcast
Produced By: Kommune India
Stories By: Jatin Bhasin
Voice Artist: Anuj Gurwara
Script Written By: Deepti Mittal
Audio Production: 3D Headroom
Episode Supervised By: Ikroop Chamba -
Neerja hyper-sensitive hai ek particular tarah ki smell ke liye, jo use kuch khas logon se aati hai, aur woh aise logon ko zara bhi bardasht nahi kar pati. Lekin ek din use ye strange smell apne he husband aur bete se ane lagti hai...tab use pata chalta hai is smell ke peeche chupa raaz.
Kya hai woh raaz aur kaise nipatti hai Neerja is smell se!
Janne ke liye suniye story, The Smell!
CREDITS
Bhoot Bhulaiya: A Horror Podcast
Produced By: Kommune India
Stories By: Jatin Bhasin
Voice Artist: Anuj Gurwara
Script Written By: Deepti Mittal
Audio Production: 3D Headroom
Episode Supervised By: Ikroop Chamba -
Bhopal se Indore wale raaste par padti hai ek nadi, jis par bana hai Sati Ghat. Is ghat par nadi chunti hai apna shikar, aur jise chunti hai, use chodhti nahi!
Kya hua jab usne chuna Nayan Chaturvedi ko? Kya woh bach paya Sati Ghat ke khooni panjon se?
Kya thi mystery us Sati Ghat ki...suniye is khuafnak kahani mein!
CREDITS
Bhoot Bhulaiya: A Horror Podcast
Produced By: Kommune India
Stories By: Jatin Bhasin
Voice Artist: Anuj Gurwara
Script Written By: Deepti Mittal
Audio Production: 3D Headroom
Episode Supervised By: Ikroop Chamba -
Vineet ki train jab Ajmer station par ruki toh uski nazar station ke paas lage ek ped par jam gayi. Pichli baar Ajmer aane par woh galti se isi ped ke neeche baith gaya tha, aur phir uske saath jo khaufnak tragedy hui, woh kissa ban gaya. Usi kisse ki suniye story, “I want Chips and Chocolates” mein.
CREDITS
Bhoot Bhulaiya: A Horror Podcast
Produced By: Kommune India
Stories By: Jatin Bhasin
Voice Artist: Anuj Gurwara
Script Written By: Deepti Mittal
Audio Production: 3D Headroom
Episode Supervised By: Ikroop Chamba -
Rohit ko apne birthday par photographs lene ki manahi thi. Kaafi saalon ke baad finally, jab usne photographs liye toh uska saamna hua ek aise sach se, jisne use hila kar rakh diya!
Aisa kya dekh liya tha usne, apne birthday photographs mein?Koi samaan? Koi insaan? Ya phir koi rooh?
CREDITS
Bhoot Bhulaiya: A Horror Podcast
Produced By: Kommune India
Stories By: Jatin Bhasin
Voice Artist: Anuj Gurwara
Script Written By: Deepti Mittal
Audio Production: 3D Headroom
Episode Supervised By: Ikroop Chamba -
Khan Market se dindahade bacche gayab ho rahe the...Dekhte he dekhte, shop se, maa ki godh se aur unki jagah rakhi milti thi unke he size ki ek doll! Kahan ja rahe the ye bacche?
Kaun kar raha tha ye, koi child kidnaper gang? Ya phir koi aur? Aur Kyun?
Janne ke liye suniye: Unsolved mystery of Khan Market.CREDITS
Bhoot Bhulaiya: A Horror Podcast
Produced By: Kommune India
Stories By: Jatin Bhasin
Voice Artist: Anuj Gurwara
Script Written By: Deepti Mittal
Audio Production: 3D Headroom
Episode Supervised By: Ikroop Chamba -
Surabhi ki delivery ke baad ek khel shuru ho gaya tha Surabhi aur uske husband, Sanjay ke beech. Surabhi apni newborn baby girl, Pari ko maarna chahte thi aur Sanjay bachana chahta tha. Surabhi aisa kyun karna chahti thi? Kya koi tha jo use aisa karne par majboor kar raha tha? Kaun tha woh? Kya rishta tha uska Pari se? Kya hua Pari aur Surbhi ka? Inhin sawalon ke jawab milenge is khaufnak kahani mein.
-
8 saal ki Divya apne parents ke saath Dilli Haat gayi aur wahan se le aayi ek neeli aankhon wali doll. Magar us doll ke aane ke baad Divya ka behaviour badalne laga, unke ghar main ajeeb cheezein hone lagin... Kya tha us doll ka raaz? Kahan se aayi thi woh aur kya chahti thi? Jaanne ke liye suniye yeh scary story.
CREDITS
Bhoot Bhulaiya: A Horror Podcast
Produced By: Kommune India
Stories By: Jatin Bhasin
Voice Artist: Anuj Gurwara
Script Written By: Deepti Mittal
Audio Production: 3D Headroom
Episode Supervised By: Ikroop Chamba -
Hitansh ke parents ne Hauz Khas, Delhi main ek bada ghar khareeda aur usko renovate karke ek khubsurat mansion house banaya. Lekin, wahan ek baat strange thi, ghar mein har jagah strong stinky smell aati thi aur pade hue milte the, sticky smelly tiny rubber ke tukde...Kaise the ye rubber ke tukde? Kya tha inka raaz? Aur kyun aati thi us ghar se strange stinky smell? Janne ke liye suniye ye story.
CREDITS
Bhoot Bhulaiya: A Horror Podcast
Produced By: Kommune India
Stories By: Jatin Bhasin
Voice Artist: Anuj Gurwara
Script Written By: Deepti Mittal
Audio Production: 3D Headroom
Episode Supervised By: Ikroop Chamba -
Pune city se ek ke baad ek ladkiyan gayab ho rahi thi, woh bhi ek hi tarike se. Police ko unka koi suraag nahin mil raha tha. Kaun kar raha tha yeh, koi insaan ya phir koi aur...? Aur kyon? Jaanne ke liye suniye suspense se bharpoor, dil dahlane wale kahaani - I Need A Friend, Dear.
CREDITS
Bhoot Bhulaiya: A Horror Podcast
Produced By: Kommune India
Stories By: Jatin Bhasin
Voice Artist: Anuj Gurwara
Script Written By: Deepti Mittal
Audio Production: 3D Headroom
Episode Supervised By: Ikroop Chamba -
Som aur Pragati Gurgaon se Dehradun by road jaa rahe the. Uss road trip par unke saath strange baatein ho rahi thi. Unhein sunsan raaste mein mila ek Dhaba, jahan woh khana khane ke liye ruk gaye. Bas yahi nahin karna tha unhein, kyunki iske baad unki zindagi mein aaya ek toofan... Kaise nikle woh uss toofan se... aur kya nikal bhi paye.... Jaanne ke liye suniyen rongte khade kar dene wali kahani, Road Trip.
CREDITS
Bhoot Bhulaiya: A Horror Podcast
Produced By: Kommune India
Stories By: Jatin Bhasin
Voice Artist: Anuj Gurwara
Script Written By: Deepti Mittal
Audio Production: 3D Headroom
Episode Supervised By: Ikroop Chamba -
Joya ek hospital mein nurse thi, jiski aankhen behad khubsurat thi. Magar aisa kya hua jo woh kisi se bhi eye-contact karne se ghabrane lagi.... Dusron ki aankhon mein use aisa kya dikhai dene laga tha, jisse use apni hi aankhon se dar lagne laga tha? Kya hua uska aur uski khubsurat ankhon ka? Jaanne ke liye suniye yeh kahani - Aankhen.
CREDITS
Bhoot Bhulaiya: A Horror Podcast
Produced By: Kommune India
Stories By: Jatin Bhasin
Voice Artist: Anuj Gurwara
Script Written By: Deepti Mittal
Audio Production: 3D Headroom
Episode Supervised By: Ikroop Chamba -
Delhi mein khadi hai sadiyon purani Chor Minar, jis mein kisi jamane mein choron ke kate siron ko rakha jata tha. Kuch logon ka kahana hai aaj bhi rakhe milte hain wahan choron ke katen sir...
Kaun Karta hai yah? Koi sir fira hatyara, koi supernatural power ya phir khud vah Minar??? Aise hi kuch kate siron ki daastaan auna rahi hai yah kahani 'Chor Minar'.
CREDITS
Bhoot Bhulaiya: A Horror Podcast
Produced By: Kommune India
Stories By: Jatin Bhasin
Voice Artist: Anuj Gurwara
Script Written By: Deepti Mittal
Audio Production: 3D Headroom
Episode Supervised By: Ikroop Chamba -
America mein job kar raha Manav Christmas vacation per Delhi lauta, apne parents ke paas, jo rehten the Quarter Number 13 mein. Wahan Manav ka samna hua ek jali hui bhatakti aatma se, jo sirf use hi dikhai deti. Kaun thi woh aatma, kya chahti thi usse, kya rishta tha uska Manav se? Aur kya usne Manav ka peecha chhoda? Jaan ne ke liye suniye ye khaufnaak kahani.
CREDITS
Bhoot Bhulaiya: A Horror Podcast
Produced By: Kommune India
Stories By: Jatin Bhasin
Voice Artist: Anuj Gurwara
Script Written By: Deepti Mittal
Audio Production: 3D Headroom
Episode Supervised By: Ikroop Chamba -
Jo wish seedhe tareeke se puri na ho paaye, use taantrik shaktiyaan pura kar deti hain. Ek bachche ki wish mein aisa hi sochne lagi thi Yamini aur le aayi apne ghar tantra mantra ki shaktiyon wali ek doll. Kya uss doll ne Yamini ki wish puri ki? Jaan ne ke liye suniye ye khaufnaak kahani.
CREDITS
Bhoot Bhulaiya: A Horror Podcast
Produced By: Kommune India
Stories By: Jatin Bhasin
Voice Artist: Anuj Gurwara
Script Written By: Deepti Mittal
Audio Production: 3D Headroom
Episode Supervised By: Ikroop Chamba -
Delhi ki sard raat, sunsaan sadak, aur taxi khojta ek musafir. Finally, use ek taxi mili bhi toh aisi jisne uske safar ko khaufnaak banaa diya. Kaisa raha uska yeh safar, kya woh yeh safar poora kar paya? Jaan ne ke liye suniye yeh kahani.
CREDITS
Bhoot Bhulaiya: A Horror Podcast
Produced By: Kommune India
Stories By: Jatin Bhasin
Voice Artist: Anuj Gurwara
Script Written By: Deepti Mittal
Audio Production: 3D Headroom
Podcast Episode Supervised By: Ikroop Chamba