Episodit
-
Jab Arjun dukhi ho yuddh naa jarne kaa nishchay sunate hain, tab Shri Krishn unhe jeevan mrityu ka arth samjhate hain.
-
Shokayukt Arjun k Krishn ko prashnn
-
Puuttuva jakso?
-
Swayam k hi kuljanon ko yudhhbhumi mein apne saamne paa kar Arjun ki manah sthiti kaa varnan.
#Geeta,#Janamaashtmi, #Shrikrishna,#RadhaRaniJi#ShriJi -
Arjun ka yudhhbhumi k madhya jaana
-
Yuddh khshetra mein Shankh-naad
-
Geeta ka pehla adhyay Arjun Vishad yog. Harr adhyay ko chhote arthpoorn episodes mein prastut karne ka prayaas karungi.
-
Anavashyak roop se shekhi dikhane ki koshish bahot bhari pad sakta h. Dhyaan apne karya mein rakhna chahye naa ki logon ko bataane mein.
-
Dikhawe ki umr bahot chhoti hoti hai.
-
Buddhimata aur soojh-boojh se kaam lene parr hum badi se badi kathinayee se bhi paar paa sakte hain.
-
Aankh band kar k kabhi kisi parr vishwaas naa karein. Aur jo aap parr vishwaas karein unhe kabhi moorkh naa banayein.
-
Kisi bhi anjaan parr asaani se vishwaas nahi karna chahye.
-
Mitra bhed ki chauthi kahaani jo humein sikhati hai vikat paristhiti mein bhi soojh-boojh se kaam lena.
-
Mitra bhed ki yah teesri katha humein batati h k manushya mein ek doosre se bhed bhaav na karna hi uchit hai.
-
Panchatantra k Mitrabhed ki doosri kahaani jo sikhaati hai k badi badi shekhi baghaarne vaale bhi kaii baar khokhle hote hain.
-
Panchatantra ki kahaniyon k pehle bhed - "Mitra Bhed" ki pehli kahani. Yah kahani seekh deti hai k jiss kaam ko karne se koi arth naa siddh hota ho, vah nahi karna chahye. Yah matra samay ki barbadi hai.
-
Story of a brave girl who was tagged liar. But proved everyone wrong by her own work. Liar Sammy became Brave Sammy
-
Safalta paane k liyey apne tareeke badlein, iraade nahi. Swayam ko jaaniyey aur safalta ki or agrasar ho jaiyey. Kabhi rukein naa.
-
Ek tareeka, stress ko ghar se baahar hi chhod aane kaa.
-
Kabhi bhi kisi k prati koi dhaarana banane se pehle humein sadaiv yah jaan lena chaahye k vo aisa kyon hai. Meri is kahaani mein jub adhyapak ko apne ek vidyarthi ki sacchai kaa pata chalta h tb kis prakaar unn kaa nazariya badal jaata hai va unn ki nischal madad se vah ek kamiyaab insaan bhi bann paata hai. #judgemental #supportothers #helpothers
-
MahaKavi Dinkar ji ki sundar shaktipoorna kriti jo varnan karta h Hari k Mahabharat Yuddh ko rokne k har sambhav prayas kee. Pehle ve shanti poorvak nyayochit se bhi kam maangte hain, parantu Duryodhan k naa samajhne parr krodhit ho apna vikraal roop dhaaran kar k bhi usey daraane kaa prayas karte hain. Parantu "jab nash manuj parr chaata hai, pehle vivek marr jaata hai". Antatah Krishn yuddh ki ghoshna kar laut jaate hain.
- Näytä enemmän